KKR vs PBKS Called Off: जब कोलकाता में कवर्स हटते ही अंपायर्स के उड़ गए होश, खतरे में थी खिलाड़ियों की जान!

 


Eden Gardens Controversy: Na Baarish, Na Toofan, Phir Bhi Eden Gardens Mein Kyun Nahi Hua KKR vs PBKS Match?

Kolakata ke Eden Gardens mein kal jo kuch hua, usne cricket fans ko hairan aur pareshan kar diya hai. KKR aur Punjab Kings ke beech ka मुकाबला Called Off (radd) kar diya gaya. Aapko lag raha hoga ke Kolkata mein tezz baarish ya toofan aya hoga, lekin sachai toh kuch aur hi hai! Jab match radd hua, maidan par na baarish thi, na badal aur na hi koi toofan. Phir aisi kya wajah thi ke super soppers ke daur mein bhi match radd karna pada? Aaiye jante hain puri kahani.

Baarish Rukne Ke Baad Shuru Hua Asli Drama

Eden Gardens apni behtareen drainage aur pure ground ko cover karne ke liye jana jata hai. Kal bhi waisa hi hua. Baarish ayi aur ground staff ne fat-a-fat pure maidan ko dhaanp diya. Kuch der baad baarish puri tarah ruk gayi aur dobara ane ke koi asaar nahi the. KKR ke coach Abhishek Nayar aur Pitch Curator ke saath CAB President Sourav Ganguly khud maidan par active nazar aye. Cabs hatane ka kaam zor-shor se shuru hua, sab kuch normal lag raha tha.

Covers Ke Neeche Chupa Tha Bhayanak Sach

Lekin jaise hi boundary ke paas wale hisse se aakhri covers hataye gaye, wahan nazara dekhkar अंपायर्स ke paon tale zameen khisak gayi!

  • Boundary rope ke pass wala pura area gila nahi, balki puri tarah keechar (mud) ban chuka tha.

  • Pani covers ke neeche se seep (ris) kar ground ke andar chala gaya tha.

  • Ye keechar itna gehra tha ke wahan khada hona bhi mushkil tha, khelna toh door ki baat thi.

Kyun Khatre Mein Thi Jaan?

Aaj kal T20 cricket mein fielding ka standard bahut high hai. Fielders boundary par dive lagate hain, tezi se bhaagte hain. Aise mein agar koi khiladi us keechar wale hisse mein bhaagta toh uska fisalna tay tha. Agar uska pair us gile area mein dhans jata, toh knee ya ankle ki serious injury ho sakti thi.

Umpire ka Nazariya: Umpires ne saaf kar diya ke wo ek match ke liye kisi khiladi ki jaan ya career risk mein nahi dal sakte. Jab tak boundary ke andar ka pura area safe na ho, match shuru nahi kiya ja sakta.

Ganguly aur Dada ki Mehnat Par Phira Pani

Dada (Sourav Ganguly) ne ground staff ke saath milkar kafi mehnat ki, lekin nature ke aage sab fail ho gaya. Aakhir mein umpires ne KKR ke captain Ajinkya Rahane aur PBKS ke captain Shreyas Iyer ko bulakar match radd karne ka faisla sunaya. Dono teams ko 1-1 point mila. Ye fans ke liye niraashajanak tha, lekin khiladiyon ki safety sabse pehle hai.

Expert Opinion: CrickBy Special

Mere khayal mein, Eden Gardens jaise iconic ground mein aise halaat paida hona niraashajanak hai, lekin umpires ne bilkul sahi faisla liya. Agar 5-5 over ka match karwane ke chakkar mein kisi star player ko chot lag jati, toh uska zimmedar kaun hota? Ground staff ne mehnat ki, lekin hum nature se nahi jeet sakte.

Sawaal: Kya aapko lagta hai ke agar match hota toh KKR points table par upar ja sakti thi, ya PBKS ye match jeet jati? Comment mein apne vichar batayein!